मंगलवार, 13 अक्तूबर 2009

Mukt

nahin hai
insaan Mukt
in swachhand pakshiyon,
gamakti bayaron,
barste badalon,
pighalte pahadon
ki tarah....

diya hai usne
swayam ko
pinjre jaisa samaj,
jo kabhi bada ,
kabhi chhota
to hota hai
par swachhand udan
milti nahin sehaj
pakshi ko

phadphada ke pankh,
takra ke deewaron se,
kar baithta hai
nireeh panchhi
ghayal khud ko
aur pinjra vijayonmat
bhav se apne
astitva par
garv karta jata hai..........

कोई टिप्पणी नहीं: