मंगलवार, 28 जुलाई 2009

Saray

De kar khuda ne rooh ko meri Ek adad ghar
bana ke malik uska bheja tha dharti par

par ban ke reh gaya
saray ik , wo ghar
aur rooh murjha gayi
mehmano ki khidmat kar

jo aate rahe jate rahe
apne nakhre dikhate rahe
kabhi ek beti kabhi ek maan
kabhi ek patni kabhi jaane jaan

mela laga tha saray mein
baat thi apne na paraye ki
ban gaye the mehman hi
pehchan is saray ki

mejbaan ghir gaya karne ko
poori inki farmayishein
is kram mein bhool gaya wo
apni hi kuchh khwahishein

je mein ata hai laga dun
board " saray band hai"
kar vida mehmaan saare
sochoo kya mujhe pasand hai

shaant hoga jab ye kalrav
us bahar ki bheed ka
hoga tab ehsaas rooh ko
swayam ke is need ka


****************************************

दे कर खुदा ने रूह को मेरी एक अदद घर
बना के मलिक उसका भेजा था धरती पर

पर बन के रह गया
सराय इक , वो घर
और रूह मुरझा गयी
मेहमानो की खिदमत कर

जो आते रहे जाते रहे
अपने नखरे दिखाते रहे
कभी एक बेटी कभी एक माँ
कभी एक पत्नी कभी जानेजाँ

मेला लगा था सराय में
बात थी अपने ना पराए की
बन गये थे मेहमान ही
पहचान इस सराय की

मेजबान घिर गया करने को
पूरी इनकी फरमाईशें
इस क्रम में भूल गया वो
अपनी ही कुछ ख्वाहिशें

जी में आता है लगा दूं
बोर्ड " सराय बंद है"
कर विदा मेहमान सारे
सोचू क्या मुझे पसंद है

शांत होगा जब ये कलरव
उस बाहर की भीड़ का
होगा तब एहसास रूह को
स्वयं के इस नीड का...........

कोई टिप्पणी नहीं: