सोमवार, 1 जून 2009

ardhangini

Ardhangini

De kar ardhangini ki upadhi
kar diya bhramit nari ko
Ardhang hai wo nar ka
nahin poorn uske bina astitva

Shiv Shakti ne kiya tha
pratipadit is tathya ko
par kya kar paya hai maushya
waise hi ise atmasaat

maan paya hai ki adhoore hain
nar nari ek doosre ke bina
apne apne ko poorn dikhane
mein reh gaye hain bus
main aur tu ke bhav
nahin hain kanhin bhi
poorak hone ke ehsaas

कोई टिप्पणी नहीं: