सोमवार, 1 जून 2009

putr

aahat dabi si
nanhi padchap
dil udwgin hai
sun kar ye thap

putr ki chah mein
cahuthi baar ye ahat hai
putri na ho jaaye phir se
man mein ye chhatpatahat hai

kyun hun yun majboor
vanshbel badhane ko
putriyon ka haq chheen
kyun na unko padhane ko

kya nahin kar rahi hun
tayaar khud si teen paudhen
jo phalayi jaayengi kisi aur zameen mein
nayi vanshbel jamane ko

कोई टिप्पणी नहीं: